Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan janaan
Yaad kya tujh ko dilaaein tera paiman janaan
Youn hi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis qadar jald badal jaate hein insaan janaan
Zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan
Dil yeh kehta hai ke shaid ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaan
Awal Awal ki muhabaat ke nashe yaad to kar
Be-piye bhi tera chehra tha gulistaan janaan
Aakhir Aakhir too yeh aalam hai ke ab hosh nahin
Rag-e-Meena sulag uthi ke rag-e-jaan janaan
Mudatton se yahi aalam na tawaqqu na umeed
Dil pukare hi chala jata hai janaan janaan
Hum bhi kya saada the hum ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-Doraan se juda hai gham-e-janaan janaan
Ab ke kuch aise saji mefil-e-yaraan janaan
Sar ba-zaanu hai koi sar ba-garebaan janaan
Har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
Har koi apne hi saaye se harasaan janaan
Jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagta hai
Shaher ka Shaher huwa dakhil-e-zindaan janaan
Ab tera zikr bhi shaid hi ghazal mein aaye
Aor se aor huwe dard ke unwaan janaan
Hum ke roothi hoi rut ko bhi mana lete the
Hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijraan janaan
Hosh aaya to sabhi khawab the reza reza
Jaise urte huwe aoraaq-e-preshan janaan