Iss waqt to youn lagta hai ab kuch bhi nahin hai
mahtaab na suraj na andhera na saweraa
Aankhon ke dareeche main kisi husn ki jhalkan
aur dil ki panaahon main kisi dard ka dera
Mumkin hai koi wehem ho mumkin hai suna ho
galiyon main kisi chaap ka ek akhiri phera
Shaakhon main khayaalon ke ghane per ki shayad
abb aa ke karega na koi khwaab basera
Ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraaya koi mera
Maana ke ye sun-san ghari sakht bari hai lekin mere dil ye to faqat ek ghari hai himmat karo jeene ko abhi umr pari hai
Raat yunh dil mein teri khoee hui yaad aayee
Jaise veeraaney mein chupkey sey bahaar aa jaye
Jaisey sehra on mein howley se chaley baadey naseem
Jaisey beemaar ko bey wajhey Qaraar aa jaaye
🙂
My all time fave qata’a by Faiz.
wonderful!
Faiz!!! Unmatched
unmatched to bhai hum Ghalib ko maante hain!
Faiz bhi waise bahut khoob hain!
😛
Ghalib ki kya baat hai!
Actually can’t really compare…….Faiz is also an activist, has a philosophy but at the same time has silk in his words & imagery.
Faiz’s ideology in present day Pakistan is an emblem of hope and pain the nation is going through, so he is important as more than just a poet
true…I can imagine. The entire Progressive Writer’s Association gave us a lot that is everlasting in its lessons and examples the subcontinent can still avidly follow to its own benefit!
tum jo naa aa’e the to har chiiz vahii thii kih jo hai
aasmaaN hadd-e-nazar, raahguzar raahguzar, shiishaah-e-mai,
shiishaah-e-mai
aur ab shiishaah-e-mai, raahguzar, rang-e-falak
rang hai dil kaa mere, “khoon-e-jigar hone tak”
champaa’i rang kabhii, raahat-e-diidaar kaa rang
sur’ma’ii rang kabhii, saa’at-e-bezaar kaa rang
zard pattoN kaa xas-o-xaar kaa rang
surkh phuuloN kaa, dahakte hu’e gulzaar kaa rang
zahar kaa rang, lahuu rang. shab-e-taar kaa rang
aasmaaN, rahguzar, shiishaah-e-mai
koii bhiigaa hu’aa daaman, ko’ii dukhtii hu’ii rag
ko’ii har lahzaah badaltaa hu’aa aa’iinaah hai
ab jo aa’e ho to Thahro kih koii rang, koii rut ko’ii shai
ek jagah par Thahre
phir se ik baar har ik chiiz vahii ho ke jo hai
aasmaaN hadd-e-nazar, rahguzar rahguzar, shiishaah-e-mai,
shiishaah-e-mai
Buhut khoobsurat.
Awesome!!!
Thanks for sharing such an amazing poetry.
‘Tum jo na aaye they’ This poem by Faiz, possibly his most lyrical, has been chosen as one of the fifty greatest modern Love Poems from the last fifty years. The entire list is here. These poems were chosen by global poetry specialists to be read at the Southbank Centre, London, on July 20th 2014 at the Royal Festival Hall.
Faiz……amazing as always.
Maana ke ye sun-san ghari sakht bari hai lekin mere dil ye to faqat ek ghari hai himmat karo jeene ko abhi umr pari hai!!!!!
The harsh truth, but beautiful and very touching!!
Thanks Farah for posting!
faiz is gooodddd,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,like
Pingback: جینے کو ابھی عمر پڑی ہے (Faiz Ahmed Faiz) | Capture Universe